Tuesday, September 17, 2013

Ek khwaab jee kar aayi main

Ek khwaab jee kar aayi main,
Jubaan pe uska swaad chadha tha,
Kuch tez namak aur tez meetha tha,

Ek hi pal me dil muskura bhi raha tha,
Aur annkhon me kuch gila sa bhi tha,

Muthi band thi jisse ret ki tarah kuch fisla to tha,
Phir bhi na jaane kaise mere hi aanchal me simta tha,

Labon pe mere pahle se hi jhuta sa koi kissa tha,
Sach se khud ko chipaya aur usko churaya jo tha,

Yakin aaj mujhe khud par bhi nahi tha,
Pankh khol kar jo maine yeh safar tay kiya tha,

Ek khwaab jee kar aayi main,
Aur khud se mil kar aayi main…

1 comment:

  1. Khwaab hain hire ki manond,
    Inhe tarasha karo ae Shams.

    Gr na tarashoge to koyle ki khhan me,
    Hire ki pehchan nhi hoti.

    Muskan ko muskan hi samjho to achchha hai,
    Kyun ki hr ek muskurahat muskan nhi hoti.

    Khud se khud ko chhupana kaisa ,
    Jo sach hai,to sach hai,uski koi alag pehchan nhi hoti.

    Yaqeen jo khud pr hai to badal jaenge ye nizam e gulshan
    Be yaqeeni ki to khud koi pehchan nhi hoti.

    ReplyDelete