Wednesday, September 18, 2013

Baatein

Kahne ko hai baatein hazaar,
par shabd nahi,
Shabad bhi jo mil jaye agar,
to koi saath nahi,
Saath bhi jo chal de koi,
to halat nahi,
Halaton ke sawaalon me jo hum phase,
to koi baat hi nahi.

Tuesday, September 17, 2013

Ek khwaab jee kar aayi main

Ek khwaab jee kar aayi main,
Jubaan pe uska swaad chadha tha,
Kuch tez namak aur tez meetha tha,

Ek hi pal me dil muskura bhi raha tha,
Aur annkhon me kuch gila sa bhi tha,

Muthi band thi jisse ret ki tarah kuch fisla to tha,
Phir bhi na jaane kaise mere hi aanchal me simta tha,

Labon pe mere pahle se hi jhuta sa koi kissa tha,
Sach se khud ko chipaya aur usko churaya jo tha,

Yakin aaj mujhe khud par bhi nahi tha,
Pankh khol kar jo maine yeh safar tay kiya tha,

Ek khwaab jee kar aayi main,
Aur khud se mil kar aayi main…

Barf ke gole

Ek chatt ki deewar se latakte hue us bachche ne zor se awaaz lagayi… chuski wale bhaiya rukna jara! Main apni kitaab haath me liye khidki se bahar gali me dekh rahi thi, ek barf ke gole ki theli guzar rahi thi, jisme rang birange botlon ki Qatar lag rahi thi aur ek ghanti uske chakke ke paas hi bandhi thi, jo chakke ke ghumne se lagatar baj rahi thi… par us theli se pahle us bachche ki awaaz ne mujhe apni aor kitcha, tab mera dhyaan us barf ke gole ki theli par gaya!

Bachche ki awaaz sunte hi, theli wala apni theli rok kar us chatt ke neeche khada ho gaya.. par woh bachcha mujhe abhi nazar nahi aa raha tha. Daudta haafta woh koi dedh minute baad apne ghar ke darwaaze se nikla haath me dus rupaye ka note liye, usne dus ka note us theli waale ko pakdaaye aur use chilaate hue kaha.. do gole bana do saaare rang daal kar! Uske kahte hi gole waale ne jaldi jaldi haath chalana shuru kar diya, barf ki silli lekar apni machine se uska chura taiyaar kar glass me daala aur baans ki ek phatti beech me daal kar use thok pith kar taiyaar kiya aur glass se bahar nikal kar us gole par sab rango ki shishiyon se thoda thoda ras udhela… woh bachcha badi badi aankhen kar use gole ko banata hua dekh raha tha, jaise ab uske haath me who gola aaye, woh jhat mooh khole aur meethe ras se lababab woh thanda barf ka gola uske mooh me jaaye… ye nazara meri khidki se jyaada door nahi tha, so uski aankhon ki chamak mujhe saaf deekh rahi thi!


Ek ke baad doosra barf ka gola jhat se taiyaar kar us theli waale ne us bachche ke hath me diya, koi saat ya aath saal ka woh bachcha, usne apne dono haath badhayae aur dono hi gole ko dhyaan se pakad khaane ki bajaye ghar ke darwaaze ki aor muda aur chilaate hue apne ghar me ghusaa.. bibji ye lo aapke barf ke gole!

Monday, September 9, 2013

Roshandaan

Ghadi me 12:15 baj hi gaye, naashte ki plate haath me lete hi meri nazar ghadi pe gayi. Roz is baat par daant khati hun main inse, kitni der se naashta karti ho tum. Office jane se pahle kah ke jate hai time se kha lena, par sare kaam khatam karte karte kab samay mujhse aankhen chura kar aage nikal jata hai pata hi nahi lagta.

Abhi teesra mahina hai, sab kahte hai main apna pura dhyaan nahi rakhti. Par thik hai na inke jaisa hoga yeh jo mera dhyaan rakhega.


Humara man bhi kitna tez hota hai ek pal me kitni baatein sochta hai. Remote se apna favourite channel laga kar ab jakar pehla kaur muh me rakha hai. Aur pahla kaur muh me rakhte hi kuch yaad aaya. Maine jhat se tv band kiya nashte ki plate rasoi me dakh kar rakh di, balcony lock kar ke apna wallet aur chabhi ka guccha fridge par se uthaya. Main gate pe taala maar kar main apne do manzil ke is railway quarter ki sidhiyon se thodi jaldi me aur thode aihtiyaat se utri. Sidhiyon se utar kar main galiyon se hote hue chaudi sadak pe aa gayi. Meri nazar auto ki talash kar rahi thi aur man me bijli se bhi tez gati me bahut saari yaadein daud rahi thi.

Main darr rahi thi mujhe kahin der na ho jaye. Oh! ek auto mil hi gaya, maine usse jhat se pucha kalibari road chalenge kya. Usne sir na me hi hilaya. Yahan ab bhi cycle rikhshe ka chalan jyada hai, par mujhe jaldi thi aur sadak pe bane ghaddo se mujhe bachna tha so main auto ki talash me thi. Ek do koshish ke baad mujhe auto mil hi gaya!

Rasta bahut lamba nahi tha, par meri yaadon ko jodne ke liye chota bhi nahi tha! Shaadi ko dedh saal ho gaye the, yeh railway me station manager the aur inki posting bihar ke ek chote se sehar, par railway ke bade junction katihar me thi. Aur yahan ki kothriyon se quarter me mera dil nahi lagta tha… Mera dil to lagta tha, apne nanaji ke ghar me, katihar se train se koi ek dedh ghante ki duri pe naugachiya me tha mere nanaji ka ghar!

Maine apne 12vi tak ki padhai wahin rah kar hi ki thi. Kacha pakka sa makaan, saamne beda, jahan khatiya daal kar nanaji dhup seka karte the, aur maa (meri nani, jinhe maine bachpan se maa bulaya karti thi) jo unke farmaishe puri karte nahi thakti thi! Meri mummy ke jaane ke baad se main yahin rahi, papa kabhi kabhi milne aaya karte the. Unki naukri bhi railway me hi thi. Woh TC the aur isliye unke rahne ka koi thikana nahi tha, tabhi mujhe maa ke paas hi chod rakha tha.

Maa meri  nani kam dost jyada thi. Kyunki main bahar ladkiyon ke se saath kitkit ke khel nahi machati thi aur ladko ki woh bhari bharkam corcket ki ball se bhi mujhe darr lagta tha.., pitto ke us khel me ball se paththar  ke tukdo pe nishana lagana bhi mere bas ki nahi thi, aur patang udane ke liye un ladko ki toli me jana, chatt ki dhup me apne saawle rang ko aur kala karne ka shauk bhi nahi tha.

Mera aadha waqt school me nikalta aur baki ghar ke anadar. Kabhi nanaji ki purani kahaniyon ki kitaabo me to kabhi gaano ki dhun me apne pair thirkaane me, maa ke saath rasoi me sirf upari kaam karna aur nanaji ko batana ki yeh maine banaya hai, apne jhuth par khud hi hasna aur thak kar dophar ki neend lena.

Par is dopahar ki neend ki badaulat ek khel aur mera saathi tha.…

Gussshhhh… auto ruk gaya overbridge ke thik beech me, yeh overbridge katihar ko do hisso me baatta tha, is paar railway colonys, ek kendriya vidayala jahan jyadatar railway walon ke bachche padha karte the, mirchaibadi jahan shayad mircho ke khet hote honge pahle aur ek badi si BMP field jahan 26 januray ko badi si parade hui thi, main dekhne gayi thi inke saath, aur us paar, main bazaar, offices, cinema hall, durgasthan aur kalibari.

Aapka auto nahi chalega kya..? maine auto wale se pucha, woh neeche utar kar na jane kya kar raha tha. Thoda time lagega didi, usne jawab me kaha. Main yeh sunte hi jhat se utar gayi, use tay kiye hue me se aadhe paise pakdaaye aur cycle riksha dhundne lagi, ab aadhe raste ke liye koi auto wala taiyaar nahi hota. Mushkil se ek babaji deekh gaye maine unse pucha kalibari chaliyega, woh maan gaye. Main thode eihtiyaat se rikshe me baithi. Uske kinare ko kas ke pakda, kyunki ab riksha overbridge se neeche utarne wala tha. Dhalaan ke karan gati tez ho hi jati hai. Main dari si baithi rahi par yaadon ne phir pakda mujhe…

Un dopahar ki neend ke baad raat me neend nahi aati thi mujhe, apne bistar pe leti main ek khel khela karti thi, mere kamre ki deewar me ek roshandaan tha jisse raat ki madham roshni chann ke mere upar padti thi, main apne haathon se us roshni ke saath na jaane kitni der khelti rahti thi, aur pata nahi kab so jati thi. Us roshandaan aur mera ek anokha sa rishta jud gaya tha… kabhi usse school ki baatein banati, kabhi uski roshni me kahaniyaan bunti.. aur kabhi kabhi to apne haathon se nritya ke mudraiyen banati, khud hi hasti, aur kabhi rone lagti..


12vi ke baad me college karne patna chali gayi thi, wahan hostel ke kamre me mujhe mera dost roshandaan nahi mila tha, din badalte rahe kabhi kahin to kahin, phir sasuraal aur ab railway ke is quarter me. Aajkal ke gharo me roshandaan banwaye hi nahi jaate. Anokhe aakaaro me bane in roshandaano se zindgi me kaise roshni aati hai yeh mujhe malum thi, aur main nanaji ke ghar ke us roshandaan ko aaj bhi dhundhti hun.

Didi kalibari road to aa gaya… kahan jana hai aapko? Rikshe wale baba ne pucha mujhse. Main apni yaadon se bahar aayi.. maine use rasta bataya aage ka aur main apni manzil par pahunch gayi, humne yahan jameen le rakhi hai aur do mahine pahle hi ghar banwane ka kaam shuru kiya tha. Kal darwaze ke Lenten ki dhalai ho gayi thi aur aaj usse upar ki deewaar khinchni thi. Main kal sham jab yahan se gayi thi to rajmistri ko batana hi bhul gayi thi ki kamre ki deewaron me roshandaan ki jagah chodni hai. Rikshe wale baba ko paise dekar main seedhe rajmistri ke paas pahunchi, jaise hi maine unse kaha ki kamre ki deewaron me roshandaan ki jagah chodni hai, to muskurate hue rajmistri ne kaha didi, bhaiya ji hume dusiyon baar bata chuke hain ki aapko kamre me roshandaan chahiye, humne khali jagah chod rakhi hai, aap aa gayi hain to aap dekh lijiye itni badi thik rahegi?