Saturday, August 29, 2009

chalo chale kahin chal kar sukoon ki talash karen...

chalo chale aaj chal kar sukoon ki talash karen,
woh rahta kahan hai?
kin galiyon me, kis desh me?
jo aankhen phaade dhundha use to dikhta nahi hai,
jo cheekh kar aawaaz lagai to sunta nai hai,
kahin to uska thikana hoga,
apno se itna na begana hoga,
dil kahta hai, chura lun, use jo mil jaye kisi ke paas,
aaj pyaar se bhi badh kar hai sukoon ki talash!

2 comments:

  1. Masha Allah...Aapk k likhne ka andaze bayan ek chhupe hue writer ki pehchan btata hai,

    khas tour se in lines ne bada mutassir kiya

    chalo chale aaj chal kar sukoon ki talash karen,
    woh rahta kahan hai?
    kin galiyon me, kis desh me?
    jo aankhen phaade dhundha use to dikhta nahi hai,
    jo cheekh kar aawaaz lagai to sunta nai hai,
    kahin to uska thikana hoga,
    apno se itna na begana hoga,
    dil kahta hai, chura lun, use jo mil jaye kisi ke paas,
    aaj pyaar se bhi badh kar hai sukoon ki talash!


    bahoot khoob.

    ReplyDelete