Ek chatt ki deewar se latakte hue us bachche ne zor se
awaaz lagayi… chuski wale bhaiya rukna jara! Main apni kitaab haath me
liye khidki se bahar gali me dekh rahi thi, ek barf ke gole ki theli guzar rahi
thi, jisme rang birange botlon ki Qatar lag rahi thi aur ek ghanti uske chakke
ke paas hi bandhi thi, jo chakke ke ghumne se lagatar baj rahi thi… par us
theli se pahle us bachche ki awaaz ne mujhe apni aor kitcha, tab mera dhyaan us
barf ke gole ki theli par gaya!
Bachche ki awaaz sunte hi, theli wala apni theli rok kar
us chatt ke neeche khada ho gaya.. par woh bachcha mujhe abhi nazar nahi aa
raha tha. Daudta haafta woh koi dedh minute baad apne ghar ke darwaaze se nikla
haath me dus rupaye ka note liye, usne dus ka note us theli waale ko pakdaaye
aur use chilaate hue kaha.. do gole bana do saaare rang daal kar! Uske
kahte hi gole waale ne jaldi jaldi haath chalana shuru kar diya, barf ki silli
lekar apni machine se uska chura taiyaar kar glass me daala aur baans ki ek
phatti beech me daal kar use thok pith kar taiyaar kiya aur glass se bahar
nikal kar us gole par sab rango ki shishiyon se thoda thoda ras udhela… woh
bachcha badi badi aankhen kar use gole ko banata hua dekh raha tha, jaise ab
uske haath me who gola aaye, woh jhat mooh khole aur meethe ras se lababab woh
thanda barf ka gola uske mooh me jaaye… ye nazara meri khidki se jyaada door
nahi tha, so uski aankhon ki chamak mujhe saaf deekh rahi thi!
Ek ke baad doosra barf ka gola jhat se taiyaar kar us
theli waale ne us bachche ke hath me diya, koi saat ya aath saal ka woh
bachcha, usne apne dono haath badhayae aur dono hi gole ko dhyaan se pakad
khaane ki bajaye ghar ke darwaaze ki aor muda aur chilaate hue apne ghar me
ghusaa.. bibji ye lo aapke barf ke gole!
No comments:
Post a Comment